Question:

Famous Qawwali of Nusrat Fateh Ali Khan

by Guest122  |  12 years, 7 month(s) ago

0 LIKES UnLike

Which is famous Qawwali of Nusrat Fateh Ali Khan? Please share a few lyrics of it!

 Tags: Ali, famous, fateh, Khan, Nusrat, qawwali

   Report

1 ANSWERS

  1. Guest6877

    The best and the famous qawali of Nusrat Fateh ali Khan is Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


    An the lyrics of Tum Ek Gorakh Dhanda Ho is


    Kabhi yehan tumhein dhoondha kabhi wahan puhancha

    Tumhari Deed Ki Khatir Kahan Kahan puhancha

    Ghareeb mit gaye, Pamaal ho gaye lekin

    Kissi talak na tera aaj tak nishan puhancha

    Ho bhi nahin aur...

    Ho bhi nahin aur har jaa ho

    Tum Ek Gorakh dhandha ho...


     


    Har zarre mein kiss shaan se tu jalwa numa hai

    Hairan hai magar akal ke kaisa hai tu kya hai


    Tujhe der-o-haram mein mein ne dhoonda tu nahin milta

    Lekin tujh ko tashreef farman apne dil me dekha hai


    Dhoondhay nahin milay ho Na dhoondhay se kabhi tum

    Aur phir ye tamasha hai ke jahan hum hain wahin tum ho


    Jab bajud tere koi doosra maujood nahin

    Phir samajh mein nahin aata tera parda karna


    Haram o Dehr mein hai jalwa-e-purfan tera

    Do gharon ka hai charagh purkh-e-raushan tera


    Jo ulfat mein tumhari kho gaya hai

    Ussi khoay huay ko kuch mila hai

    Na but-khanay na kaabay mein mila hai

    Magar tootay huay dil mein mila hai

    Adam ban kar kahin tu chup gaya hai

    Kahin tu hasst ban kar aa gaya hai

    Nahin hai tu to phir inkaar kaisa

    Nafi bhi tere honay ka pata hai

    Mein j**s to keh raha hoon apni hasti

    Agar woh tu nahin to aur kya hai

    Nahin aaya khayalon mein agar tu

    To phir mein kaisay samjha tu khuda hai


    Hairan hoon iss baat pe tum kaun ho kya ho

    Haat aao to but, haath naa aao to khuda ho


    Aqal mein jo ghir gaya, la-intaha kyonkar hua

    Jo samajh mein aa gaya, phir khuda kyonkar hua


    Falsafi ko behas ke andar khuda milta nahin

    Dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin


    Pata yun to bata dete ho sab ko la-makaan apna

    Taaujub hai magar rehte ho tum tootay huay dil mein


    Jab ke tujh bin nahin koi maujood

    Phir ye hangama aye khuda kya hai


    Chuptay nahin ho saamne aatay nahin ho tum

    Jalwa dikha ke Jalwa dikhatay nahin ho tum

    Dehr-o-haram ke jhagray mitatay nahin ho tum

    Jo asal baat hai woh batate nahin ho tum

    Hairan hoon mere dil mein samaaye ho kiss tarha

    Halanke do jahan mein samaatay nahin ho tum

    Yeh maabad-o-haram ye kaleesa-o-dehr kyon

    Harjaai ho jabhi to batatay nahin ho tum


    Dil pe hairat ne ajab rang jama rakha hai

    Ek uljhi h*i tasweer bana rakha hai

    Kuch samajh mein nahin aata ke ye chakr kya hai

    Khel kya tum ne azal se ye racha rakha hai

    Rooh ko j**m ke pinjray ka bana kar kaidi

    Uss pe phir maut ka pehra bhi bitha rakha hai

    De ke tadbeer kay panchi ko uraanein tum ne

    Tam-e-takdeer mein har simt bicha rakha hai

    Kar ke araaishein konain ki barson tum ne

    Khatm karne ka bhi mansooba bana rakha hai

    Lamaqami ka baharhal hai daawa bhi tumhein

    Nahme Aqrab ka bhi paigham suna rakha hai

    Yeh burai, woh bhalai, yeh jahanum, woh bahisht

    Iss ulat khel mein farmao to kya rakha hai

    Jurm adam ne kiya, aur saza beton ko

    Adal-o-insaaf ka mayyar bhi kya rakha hai

    De ke insaan ko duniya mein khalafat apni

    Ek tamasha sa zamanay mein bana rakha hai

    Apni pehchan ki khatir hai banaya sab ko

    Sab ki nazron se magar khud ko chupa rakha hai


    Nit naye naqsh banatay ho mita dete ho

    Jaane kis jurm-e-tamana ki saza dete ho

    Kabhi kankar ko bana dete ho heeray ki kani

    Kabhi heeron ko bhi mitti mein mila dete ho

    Jindagi kitnay hi murdon ko ata ki j**s ne

    Woh maseeha bhi saleebon pe saja dete ho

    Khwahish-e-deed jo kar baithe sar-e-toor koi

    Toor hi bark-e-tajalli se jala dete ho

    Naar-e-namrood mein dalwatay hu khud apna khaleel

    Khud hi phir naar ko gulzaar bana dete ho

    Chahe kinaan mein phainko kabhi mahe in aan

    Noor yakuub ki aankhon ka bujha dete ho

    Becho yusuf ko kabhi misr ke baazaaron mein

    Akhir-e-kaar shah-e-misr bana dete ho

    Jazb-o-masti ki jo manzil pe puhanchta hai koi

    Baith kar dil mein an-al-haq ki sada dete ho

    Khud hi lagwatay ho phir kufr ke fatway uss par

    Khud hi mansoor ko sooli pe charha dete ho

    Apni hasti bhi woh ik roz ganwa baithta hai

    Apne darshan ki lagan jis ko laga dete ho

    Koi raanjha jo kabhi khoj mein nilklay tumkar

    Tum ussay jhang ke bele mein rula deta ho

    Justajoo le ke tumhari jo chale kais koi

    Uss ko majnoon kissi laila ka bana dete ho

    Jot sassi ke agar mann mein tumhari jaagay

    Tum usse tapte huay thal mein jala dete ho

    Sohni gar tum ko mahiwal tasawwur kar le

    Uss ko biphri h*i lehron mein baha dete ho

    Khud jo chaaho to sar-e-arsh bula kar mehboob

    Ek hi raat mein mairaaj kara dete ho


    Aap hi apna parda ho

    Aap hi apna pardaa ho

    Tum ek gorakh dhandha ho


    Jo kehta hoon maana, tumhein lagta hai bura sa

    Phir bhi hai mujhe tum se baharhaal gila sa

    Chup chaap rahe dekthe tum Arsh-e-Bareen par

    Tapte huay karbal mein Muhammad ka nawasa

    Kiss tarhe pilata tha lahoo apna wafa ko

    Khud teen dinon se wo agarche tha piyasa

    Dushman to bahar taur thay dushman magar afsos

    Tum ne bhi faraham na kiya paani zara sa

    Har zulm ki taufeeq hai zalim ki wirasat

    Mazloom ke hissay mein tassali na dilasa

    Kal taaj saja dekha tha j**s shakhs ke sar par

    Hai aaj ussi shakhs ke hathon mein hikasa

    Yeh kya hai agar poochoon to kehte ho jawaban

    Iss raaz se ho sakta nahin koi shanasa


    Hairat ki ek duniya ho

    Hairat ki ek duniya ho

    Tum ek gorakh dhandha ho


    Har ek jaa pe ho lekin pata nahin maaloom

    Tumhara naam suna hai nishaan nahin maaloom


    Dil se arman jo nikal jaaye to jugnoon ho jaye

    Aur aankhon mein simat aaye to aansoo ho jaye

    Japeya huu ka jo be huu kare huu mein kho kar

    Uss ko sultaniyan mil jayen wo ba huu jo jaye

    Baal beeka na kissi ka ho churri ke neeche

    Halk-e-asghar mein kabhi teer tarazoo ho jaye


    Kiss kadar be-niyaz ho tum bhi

    Daastaan-e-daraaz ho tum bhi


    Ni re sa

    sa re ni re ma sa ni re.......

    (NFK vs. tabla)-Tabla looses




    Aah-e-Tehkeek mein har gam pe uljhan dekhoon

    Wohi haalat-o-khayalat mein an ban dekhoon

    Ban ke reh jaata hoon tasweer pareshani ki

    Ghaur se jab bhi kabhi duniya ka darpan dekhoon

    Ek hi khaak pe fitrat ke tazaadat itnay

    Kitnay hisson mein bata ek hi aangan dekhoon

    Kahin zehmat ki sulagti h*i patjhar ka samaan

    Kahin rehmat ke baraste huay sawan dekhoon

    Kahin phunkaarte darya, kahin khamosh pahaar

    Kahin jangal, kahin sehra, kahin gulshan dekhoon

    Khun rulata hai yeh takseem ka andaaz mujhe

    Koi dhanwaan yehan par koi nirdhan dekhoon

    Din ke haathon mein faqat ek sulagta sooraj

    Raat ki maang sitaron se muzzayyan dekhoon

    Kahin murjhaaye huay phool hain sacchai ke

    Aur kahin jhoot ke kaanton pe bhi joban dekhoon

    Shams ki kaal kahin khichti nazar aati hai

    Kahin sarmad ki uttarti h*i gardan dekhoon

    Raat kya shai hai saweera kya hai

    Yeh ujala yeh andhera kya hai

    Mein bhi nayib hun tumhara akhir

    Kyon yeh kehte ho ke tera kya hai


    Dekhne wala tujhe kya dekhta

    Tu ne har har samt se parda kiya


    Masjid Mandir...

    Masjid, Mandir, Yeh Maikhane

    Koi yeh maane, koi woh maane

    Masjid, Mandir, Yeh Maikhane

    Koi yeh maane, koi woh maane

    Sab tere hain jaana aashanay

    Koi yeh maane, koi woh maane

    Ek honay ka tere kaayil hai

    Inkaar pe koi maayil hai

    Asleeyat lekin tu jaane

    Koi Yeh maanay koi woh maane

    Ek khalk mein shamil karta hai

    Ek sab se akela rehta hai

    Hain dono teray mastaanay

    Koi yeh maanay koi woh maane

    sab hain jab aashiq tumhare naam ke

    kyon yeh jhagre hain raheem-o-raam ke


    Dehr mein tu, Haram mein tu

    Dehr mein tu, Haram mein tu

    Arsh pe tu, jameen pe tu

    Dehr mein tu, Haram mein tu

    Arsh pe tu, jameen pe tu

    j**s ki puhanch jahan talak

    Uss ke liye wahin pe tu


    Har ek rang mein yakta ho

    Tum ek gorakh dhandha ho


    Markaz-e-Justajoo, Alam-e-rang-o-boo

    Dam badam jalwagar tu hi tu chaar s****. />
    Hoo ke mahol mein, kuch nahin fi-la-hoo

    Tum buhat dil ruba, Tum buhat khubaroo

    Aarsh ki azmatein, Farsh ki abroo

    Tum ho konain ka, hasil-e-arzoo

    Aankh ne kar liya aansoo-on se wazoo

    Ab to kar do ata deed ka ek sudoo

    Aao parde se tum aankh ke rubaroo

    Chund lamhe milan, do ghari guftagoo

    Naaz jabta phiray, jabaja koo-ba-koo

    Wahda-hoo Wahda-hoo

    La-shareek-a-La-hoo

    Allah hoo Allah hoo

    Allah hoo Allah hoo

    Allah hoo Allah hoo Allah hoo

Sign In or Sign Up now to answser this question!

Question Stats

Latest activity: 13 years, 1 month(s) ago.
This question has 1 answers.

BECOME A GUIDE

Share your knowledge and help people by answering questions.