2 LIKES LikeUnLike
A friend of mine suggest me to listen this naat Muhammad Ka Roza by Junaid Jamshed. I love this naat and looking for the lyrics. Someone tell me that.
Tags: Jamshed, Junaid, KA, Lyrics, Muhammad, roza
"Mohammad ka roza qareeb araha hai bulandi pe apna naseeb araha hai farishton ye de do peghaam un ko ke khadim tumhara Saeed araha hai
wafa tum na dekho ge hargiz kisi mein zamana woh aisa qareeb araha hai hifazat karo apney imaan o deen ki zamana woh aisa ajeeb araha hai
tumhein kuch khabar hai kahan ja raha hoon rasool-e-khuda hain, wahaan ja raha hoon tumhein kuch khabar hai ke kia pa raha hoon mohabbat ke unki maza pa raha hoon chalo ja ke rehna madeenay hi ab to qayamat ka manzar qareeb araha hai
ya khuda eik din jazba-e-ashiquie ye karishma dikhaey to kia baat hai qamli waley ke kadmon mein sar ho mera or mujhey maut aaey to kia baat hai aisey alam mein zamzam se la kar koi eik saaghar pilaey to kia baat hai
woh madina jo konein ka taj hai jis ke deedar momin ke mairaj hai janey wala to shoq se jaey magar ja ke wapas na aeey to kia baat hai"
Report (3) (0) | 12 years, 8 month(s) ago
Latest activity: 13 years, 1 month(s) ago. This question has 1 answers.